Important dates of Ashura
1) Ashure ke din hi Hazrat-e-Adam Alaihissalaam ko paida kiya gaya, Usi din unhe Jannat me dakhil kiya gaya, Usi din unki touba qubul ki gayi.
2) Ashure ke din hi Arsh, Kursi, Aasman, Zameen, Suraj, Chaand, Sitare, Aur Jannat paida kiye gaye.
3) Ashure ke din hi Hazrat-e-Ibrahim Alaihissalaam paida huye, Usi din unhe Aag se naja’at mili.
4) Ashure ke din hi Hazrat-e-Musa Alaihissalaam aur Aap ki ummat ko fira’oun se naja’at mili aur usi din fira’oun apni qaum sameth garq huwa.
5) Ashure ke din hi Hazrat-e-Isa Alaihissalaam paida huye aur usi din unhe Aasman ke taraf uthayagaya.
6) Ashure ke din hi Hazrat-e-Nooh Alaihissalaam ki kashti kohe joodi (joodi pahad) per ruk gayi.
7) Ashure ke din hi Hazrat-e-Yunus Alaihissalaam machli ke pet se nikale gaye.
8) Ashure ke din hi Hazrat-e-Yaqoob Alaihissalaam ki binaayi lautayi gayi.
9) Ashure ke din hi Hazrat-e-Yusuf Alaihissalaam gehere kunwe se nikale gaye.
10) Ashure ke din hi Aasman se zameen per sab se pehle barish nazil hoyi.
11) Ashure ke din ka roza MAHE-RAMZAN se pehle farz tha phir mansooq kardiyagaya aur Sarkar-e-Madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne hijrat se pehle uss din ka roza rakha tha.
12) Ashure ke din hi Imam-e-Hussain Radiallaahu ta’ala anhu aur unke rufaqa ne maidane karbala me jaame shahadath noosh farmakar haq ke parcham ko sarbuland farmaya.
Important Things to do in Yaume Ashura
1) Shab-e-Ashure ki nafil Namaz: Ashure ki raat me 4 rakaat nafil namaz iss tarteeb se padhe, Har rakaat me Sura-e-Fateha ke baad, Aayatul kursi ek baar aur Sura-e-Ikhlaas 3 baar padhe aur Namaaz se faarig hokar, 100 martaba Sura-e-Ikhlas padhe, Gunahoun se paak hoga
aur jannat me behisaab niymatein milengi.
2) Ashure ke Roze: 9,10 ya 10,11 Muharram, 2 din ke roze rakhna chahiye aur agar na hosake toh Ashure hi ke din Roza rakhe. Shahi Muslim me Abu Qadada Radiallaahu ta’ala anhu se marvi hai Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa sallam farmate hai ke “ Mujhe Allah azzawajal per gumaan hai ke Ashure ka roza ek saal qabl ke gunah mitadeta hai”.
3) Sadqa karna: Ashure ke din me 1 dirham ka sadqa 7 lakh dirham ke barabar hai.
[Yani 1 rupiya sadqa karna 7 lakh rupiye ke barabar hai]
4) Risq me Us’at(Kushadgi): Jisne apne gharwalon aur Ahl-wa-Ayal per us’at ki Allah azzawajal uske poore saal me us’at aur barkat ata farmata hai.
5) Gusl karna: Jisne Ashure ke din Gusl kiya woh uss saal bimar hone se mehfuz rahega.
6) Surma lagana: Jisne Ashure ke din Surma lagaya woh uss saal Ankh dukhne se mehfuz rahega.
7) Mareez ki iyadat karna: Mareez ki iyaadat ko jana sunnath hai aur jo achchi tarha wazu karke sawab ki niyyat se apne musalman bhai ki iyadat ko jaye toh jahannam se 60 baras ki raah door kardiya jayega.
8) Dushman se milaap karna: Sarkar-e-Madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne farmaya, “Jo Shaks logon ke darmiyan sulah karega, Allah azzawajal uska mamilah durust farmadega aur usse har kalima boolne per ek gulam azad karne ka sawab ata farmayega aur woh jab lautega toh apne pichle gunahoun se magfirat ya fatah hokar lautega”.
9) Dua-e-Ashura padhna: 10vi muharram ko Dua-e-Ashura padhne se umr me khair-o-barkat aur zindagi me falaah-o-niyamath hasil hogi.
note: Dua-e-Ashura in arabi see attachment.
10) Khichda pakana: Ashure ke din Khichda pakana Hazrat-e-Nooh Alaihissalaam ki sunnath hai, Jab tufaan se naja’at pakar Hazrat-e- Nooh Alaihissalaam ki kashti joodi pahad per ruki toh Ashure ka din tha, Aap Alaihissalaam ne kashti me se tamaam anaaj ko baahar nikala, aur fool (bada matar), gehoun, joo, masoor, chana, chawal, pyaaz 7 qism ka galla maujood tha, Aap Alaihissalaam ne unn saat cheezon ko ek hi handi me milakar pakaya tha.
11) Ulama ki ziyarat karna aur Yateem bachchon ke sar per haath pherna: Hadis me hai, Jo shaks yateem ke sar per Allah azzawajal
ki raza ke liye haath pherta hai toh jitne baalon per uska haath guzrega har baal ke muqabil me uske liye nekiyan hai aur jo shaks yateem per yehsaan kare mai (Sarkar-e-Madina Swallalaahu alaihi wasallam) aur woh (Yateem per yehsaan karne wala) jannat me (2 ungaliyoun ko milaakar farmaya) istarha honge.
12) Zikr-e-Shahadat karna: Zikr-e-Shahadat ka maqsad, unn waqiyaat ko sunkar ibrath hasil karna ho, aur saath hi saath swaliheen ke
zikr ki barkat hasil karna hai, Rone aur rulane keliye waqiyaate Karbala bayan karna najayiz-o-gunah hai,
Things not to do in Yaume Ashura
1) Taziyadari: Taziyadari aur uske saath honewale tamaam bid’atein wa qulafatein najayiz-o-gunah hai, maslan Matam karna, Taziya par chadawe chadana, Unke samne khane rakh kar waha fateha dilana, Unse mannatein mangna, barkat hasil karne keliye bachchon ko Unke niche se nikaalna, Taziya dekhne ko jana, Unhe taazim se salam karna inn sab kaamo ka mazhabe islam me koyi wasta nahi.
2) Imam-e-Hussain Radiallaahu ta’ala anhu ke naam par bachchon ko fakir banaya jata hai aur uske gale me jhooli dalkar ghar ghar usse bheek mangwate hai, ye bhi najayiz-o-gunah hai.
3) Ashura-e-Muharram me 3 rang ka libas se bachein, ye soog ke alamatein hai. 1: Siya (kaala), 2: Sabz (hara), 3: Surkh (Laal).
4) Ashure ke 10 din kapde na badalna, chappal na pehenna, din me rooti na pakana, jhadu na lagana,
mahe Muharram me shadi biyah ko bura samajna sab fuzul batein aur jahaliyath hai.
Reference (Hawala):
Mukaashafa-tul-Qulub, Jannati Zewer, Bahar-e-Shariat,
Jannat me lejane wale Aamaal, Muharram me kya jaiz? kya nayaiz?.
No comments