Sajda E Tilawat Ka Bayan - Q&A about Sajda E Tilawat

Share:
How to perform Sajda E Tilawat

Sajda E Tilawat Ka Bayan - Q&A about Sajda E Tilawat



1) SAWAAL: Sajda E Tilawat kise kehte hain ?

JAWAAB: Qur'an E Majeed mein chaudaah (14) muqaamaat aise hain ki, jinke padhne ya sunne se sajda karna waajib hota hai, use Sajda E Tilaawat kehte hain.

2) SAWAAL: Sajda E Tilawat ka tareeka kya hai ?

JAWAAB:  Sajda E Tilaawat ka masnoon tareeka yeh hai ki,  khada ho kar ALLAHU AKBAR kehta hua sajde mein jaayein aur kam se kam teen (3) martaba SUBHANA RABBIYAL A'LA kahein, phir ALLAHU AKBAR kehta hua khada ho jaayen. Naa ismein ALLAHU AKBAR kehte hue haath uthaana hain, naa ismein tashah'hud hai aur naa salaam.

3) SAWAAL: Agar baith kar sajda kiya, toh sajda adaa hoga ya nahi ?

JAWAAB: Adaa ho jayega. Magar masnoon yahi hai ki, khada ho kar sajda mein jaayein aur sajda ke baad phir khada hon.

4) SAWAAL: Sajda E Tilaawat ki shara'it kya hai ?

JAWAAB: Sajda E Tilaawat ke liye tehreema ke alawa woh tamaam shartein hain jo Namaaz ke liye hain. Jaise tahaarat, satr e aurat, istikbaale qibla aur niyyat wagairah.

5) SAWAAL: Sajda E Tilaawat ki niyyat kis tarah ki jaati hai ?

JAWAAB: Niyyat ki main ne Sajda E Tilaawat ki ALLAH TA'ALA ke waaste munh mera taraf Ka'aba Shareef ke ALLAHU AKBAR.

6) SAWAAL: Urdu zubaan mein Aayat e Sajda ka tarjuma padha, toh sajda waajib hoga ya nahi ?

JAWAAB: Urdu zubaan ya kisi aur zubaan mein Aayat e Sajda ka tarjuma padhne aur sunne se bhi sajda waajib hota hai.

7) SAWAAL: Kya Aayat e Sajda padhne ke baad foran sajda karna waajib hota hai ?

JAWAAB: Agar Aayat e Sajda Namaaz ke baahar padhi ho, toh foran sajda kar lena waajib nahi; haan, behtar hai ki foran karlein aur wazu ho toh taakhir (delay) makrooh tanzeehi hai.

8) SAWAAL: Agar Namaaz mein Aayat E Sajda padhi toh kya hukm hai ?

JAWAAB: Agar Namaaz mein Aayet e Sajda padhi, toh foran sajda kar lena waajib hai. Teen (3) aayat se zyaada taakhir karega toh gunahgaar hoga. Aur agar foran Namaaz ka sajda kar liya yaani Aayat e Sajda ke baad teen (3) aayat se zyaada naa padha aur ruku karke sajda kar liya, toh agarche Sajda E Tilaawat ki niyyat naa ho, Sajda adaa ho jayega.

9) SAWAAL: Ek majlees mein sajda ki ek aayat ko kai martaba padha, toh ek sajda waajib hoga ya kai sajda ?

JAWAAB: Ek hi sajda waajib hoga.

10) SAWAAL: Majlees mein aayat padhi ya suni aur sajda kar liya, phir usi majlees mein woh hi aayat padhi ya suni toh dusra sajda waajib hoga ya nahi ?

JAWAAB: Dusra sajda nahi waajib hoga. Woh hi pehla sajda kaafi hai. 

[Anwaar E Shariat, Pg. 92-94]

No comments